Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dauDta rahta hun na-malum samton ki taraf

Jamal Owaisi

dauDta rahta hun na-malum samton ki taraf

Jamal Owaisi

MORE BYJamal Owaisi

    dauḌtā rahtā huuñ nā-mālūm samtoñ taraf

    dekhtā hargiz nahīñ pairoñ ke chhāloñ taraf

    bastiyoñ ke log sach sun kar bahut barham hue

    ab mirā uglā nishāna ḳhānqāhoñ taraf

    ab mire dāman se uljhī haiñ kaTīlī jhāḌiyāñ

    kyuuñ nikal aayā thā ghar se ḳhār-zāroñ taraf

    saḳht tanhā.ī vahshat se mujhe marnā nahīñ

    ghar se ghabrā kar nikal paḌtā huuñ rāhoñ taraf

    dekhnā ḳhurshīd-e-ālam-tāb aalam ki phir

    DhūñDne niklā hai ḳhud ko māh-pāroñ taraf

    dauDta rahta hun na-malum samton ki taraf

    dekhta hargiz nahin pairon ke chhaalon ki taraf

    bastiyon ke log sach sun kar bahut barham hue

    ab mera ugla nishana KHanqahon ki taraf

    ab mere daman se uljhi hain kaTili jhaDiyan

    kyun nikal aaya tha ghar se KHar-zaron ki taraf

    saKHt tanhai ki wahshat se mujhe marna nahin

    ghar se ghabra kar nikal paDta hun rahon ki taraf

    dekhna KHurshid-e-alam-tab ka aalam ki phir

    DhunDne nikla hai KHud ko mah-paron ki taraf

    Source:

    Shor ke darmayan (Pg. 35)

    • Author: Jamal Owaisi
      • Edition: 2006
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now