daur-e-KHizan hai mausam-e-gul ke zawal tak
daur-e-ḳhizāñ hai mausam-e-gul ke zavāl tak
qissa hamāre hijr kā likhiye visāl tak
bāñhoñ meñ bāñheñ Daale hue ḳhvāb kī tarah
vo aa.e ham ko chhoḌne shahr-e-ḳhayāl tak
vo shāḳh-e-gul hai ḳhushbū hai yā koī lahr hai
vo kyā hai jis kī koī nahīñ hai misāl tak
pahchān hī na paa.e mujhe ghar ke log bhī
dhuñdlā diye the vaqt ne yuuñ ḳhadd-o-ḳhāl tak
gardish meñ jo zamāne kī ham se bichhaḌ ga.e
milne ke vo 'nafīs' nahīñ māh-o-sāl tak
daur-e-KHizan hai mausam-e-gul ke zawal tak
qissa hamare hijr ka likhiye visal tak
banhon mein banhen Dale hue KHwab ki tarah
wo aae hum ko chhoDne shahr-e-KHayal tak
wo shaKH-e-gul hai KHushbu hai ya koi lahr hai
wo kya hai jis ki koi nahin hai misal tak
pahchan hi na pae mujhe ghar ke log bhi
dhundla diye the waqt ne yun KHadd-o-KHal tak
gardish mein jo zamane ki hum se bichhaD gae
milne ke wo 'nafis' nahin mah-o-sal tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.