Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daur-e-tufan mein bhi ji lete hain jine wale

Ghulam Rabbani Taban

daur-e-tufan mein bhi ji lete hain jine wale

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    daur-e-tūfāñ meñ bhī lete haiñ jiine vaale

    duur sāhil se kisī mauj-e-gurezāñ tarah

    dil vaadī meñ tirā dard barastā rahā

    abr-e-naisāñ tarah abr-e-bahārāñ tarah

    fāsle vaqt meñ tabdīl hue jaate haiñ

    zindagī raqs meñ hai gardish-e-daurāñ tarah

    dil taskīn ko māñge ujālā kahiye

    raat ik shoḳh yaad aa.ī thī mehmāñ tarah

    aarzū aur zamāne kashākash se gurez

    zindagī aur charāġh-e-tah-e-dāmāñ tarah

    gar na ho ḳhātir nāzuk pe garāñ to kah duuñ

    baat bhī dil meñ utar jaatī hai paikāñ tarah

    ek tasvīr banī sarhad-e-iz.hār se duur

    nutq hairāñ hai mire dīda-e-hairāñ tarah

    chāñd nikhrā hai tirī lauh-e-jabīñ sūrat

    raat bikhrī hai tirī zulf-e-pareshāñ tarah

    kis ne hañs hañs ke piyā zahr-e-malāmat paiham

    kaun rusvā sar-e-bāzār hai 'tābāñ' tarah

    daur-e-tufan mein bhi ji lete hain jine wale

    dur sahil se kisi mauj-e-gurezan ki tarah

    dil ki wadi mein tera dard barasta hi raha

    abr-e-naisan ki tarah abr-e-bahaaran ki tarah

    fasle waqt mein tabdil hue jate hain

    zindagi raqs mein hai gardish-e-dauran ki tarah

    dil ki taskin ko mange ka ujala kahiye

    raat ek shoKH ki yaad aai thi mehman ki tarah

    aarzu aur zamane ki kashakash se gurez

    zindagi aur charagh-e-tah-e-daman ki tarah

    gar na ho KHatir nazuk pe garan to kah dun

    baat bhi dil mein utar jati hai paikan ki tarah

    ek taswir bani sarhad-e-izhaar se dur

    nutq hairan hai mere dida-e-hairan ki tarah

    chand nikhra hai teri lauh-e-jabin ki surat

    raat bikhri hai teri zulf-e-pareshan ki tarah

    kis ne hans hans ke piya zahr-e-malamat paiham

    kaun ruswa sar-e-bazar hai 'taban' ki tarah

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 311)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now