dayar-e-fikr mein shab bhar tujhe khangala hai
dayār-e-fikr meñ shab bhar tujhe khañgālā hai
phir is ke baa'd tire 'aks ko nikālā hai
sadā tumheñ deñ to darvāze khul ga.e sab ke
tumhāre shahr kā dastūr hī nirālā hai
dhaḌakte dil ne tire dar pe dam jo toḌ diyā
tirī judā.ī ke sūraj ne maar Daalā hai
'ajab sī ḳhushbū musallat hai narm hāthoñ meñ
ye kis ne mere garebāñ pe haath Daalā hai
kuñvārī palkoñ pe jab hoñT rakh diyā us ne
maiñ kashmakash meñ thā sūraj hai ye ki jhālā hai
yahāñ pe zaat ko tarjīh kaun detā hai
hasīn gul kā gulistāñ meñ bol-bālā hai
tumhāre ḳhat pe hai aañsū kā be-zabāñ qatra
maiñ jāntā huuñ mohabbat kā ye havāla hai
sirhāne aa ke vo rotā hai ḳhvāb meñ mere
maiñ jāntā huuñ mohabbat kā ye izāla hai
dayar-e-fikr mein shab bhar tujhe khangala hai
phir is ke ba'd tere 'aks ko nikala hai
sada tumhein den to darwaze khul gae sab ke
tumhaare shahr ka dastur hi nirala hai
dhaDakte dil ne tere dar pe dam jo toD diya
teri judai ke suraj ne mar Dala hai
'ajab si KHushbu musallat hai narm hathon mein
ye kis ne mere gareban pe hath Dala hai
kunwari palkon pe jab honT rakh diya us ne
main kashmakash mein tha suraj hai ye ki jhaala hai
yahan pe zat ko tarjih kaun deta hai
hasin gul ka gulistan mein bol-baala hai
tumhaare KHat pe hai aansu ka be-zaban qatra
main jaanta hun mohabbat ka ye hawala hai
sirhane aa ke wo rota hai KHwab mein mere
main jaanta hun mohabbat ka ye izala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.