Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dayar-e-husn ki hangama-samani nahin jati

Shakir Naiti

dayar-e-husn ki hangama-samani nahin jati

Shakir Naiti

MORE BYShakir Naiti

    dayār-e-husn hangāma-sāmānī nahīñ jaatī

    pareshāñ kār-e-ulfat pareshānī nahīñ jaatī

    musallam haiñ hazāroñ dāstāneñ husn ko lekin

    vahāñ jo āshiqī baat ho maanī nahīñ jaatī

    qubūl-e-tauba-o-afv-e-gunah sab kuchh sahī lekin

    kabhī nā-kardanī ḳhud pashemānī nahīñ jaatī

    mohabbat vo musībat hai ki jis par bas nahīñ chaltā

    ba-āsānī ye aatī hai ba-āsānī nahīñ jaatī

    mirī tasvīr-e-vahshat le ke ab ahbāb kyā leñge

    ye dīvāne sūrat hai jo pahchānī nahīñ jaatī

    shab-e-ġham maañd paḌ jaatī hai jab mahfil sitāroñ

    hamāre dāġh-hā-e-dil tābānī nahīñ jaatī

    garebāñ-chāk sahrā-gard shorish qaidi-e-zindāñ

    bahar-sūrat junūñ fitna-sāmānī nahīñ jaatī

    qayāmat ke sivā kyā hogā us be-hijābī meñ

    ki jis ik jhalak se dil hairānī nahīñ jaatī

    na bol is par havā-e-dahr ik lahr hai ye bhī

    hañsī aa.ī to kyā gul pareshānī nahīñ jaatī

    hazāroñ yās-o-hirmāñ dard-o-ġham hai hujūm is meñ

    mire vahshat-kade phir bhī vīrānī nahīñ jaatī

    mohabbat 'shākir' apne saath āh-o-giryā laa.ī hai

    mirī aadat hai ye aadat ba-āsānī nahīñ jaatī

    dayar-e-husn ki hangama-samani nahin jati

    pareshan kar-e-ulfat ki pareshani nahin jati

    musallam hain hazaron dastanen husn ko lekin

    wahan jo aashiqi ki baat ho mani nahin jati

    qubul-e-tauba-o-afw-e-gunah sab kuchh sahi lekin

    kabhi na-kardani ki KHud pashemani nahin jati

    mohabbat wo musibat hai ki jis par bas nahin chalta

    ba-asani ye aati hai ba-asani nahin jati

    meri taswir-e-wahshat le ke ab ahbab kya lenge

    ye diwane ki surat hai jo pahchani nahin jati

    shab-e-gham mand paD jati hai jab mahfil sitaron ki

    hamare dagh-ha-e-dil ki tabani nahin jati

    gareban-chaak sahra-gard shorish qaidi-e-zindan

    bahar-surat junun ki fitna-samani nahin jati

    qayamat ke siwa kya hoga us ki be-hijabi mein

    ki jis ki ek jhalak se dil ki hairani nahin jati

    na bol is par hawa-e-dahr ki ek lahr hai ye bhi

    hansi aai to kya gul ki pareshani nahin jati

    hazaron yas-o-hirman dard-o-gham ka hai hujum is mein

    mere wahshat-kade ki phir bhi virani nahin jati

    mohabbat 'shakir' apne sath aah-o-girya lai hai

    meri aadat hai ye aadat ba-asani nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now