Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dayar-e-KHwab mein koshish hai phir sajaane ki

Rauf Sadiq

dayar-e-KHwab mein koshish hai phir sajaane ki

Rauf Sadiq

MORE BYRauf Sadiq

    dayār-e-ḳhvāb meñ koshish hai phir sajāne

    banā rahā huuñ maiñ tasvīr āshiyāne

    abhī to sirf bagūle uThe ḳhayāloñ meñ

    abhī se rukne lagī nabz kyuuñ zamāne

    shuā.eñ dene lage aisā ke añdhere bhī

    na.ī adā hai charāġhoñ meñ jhilmilāne

    mahāz maiñ ne apne ḳhilāf kholā hai

    ki aa ga.ī hai ghaḌī ḳhud ko āzmāne

    zarā Thes se aañsū nikal paḌe varna

    ye koī rasm nahīñ hai diye jalāne

    dayar-e-KHwab mein koshish hai phir sajaane ki

    bana raha hun main taswir aashiyane ki

    abhi to sirf bagule uThe KHayalon mein

    abhi se rukne lagi nabz kyun zamane ki

    shuaen dene lage aisa ke andhere bhi

    nai ada hai charaghon mein jhilmilane ki

    mahaz main ne hi apne KHilaf khola hai

    ki aa gai hai ghaDi KHud ko aazmane ki

    zara si Thes se aansu nikal paDe warna

    ye koi rasm nahin hai diye jalane ki

    Source:

    Nok-e-Qualam Per Luhu (Pg. e-22 p-24)

    • Author: Rauf Sadiq
      • Edition: 2011
      • Publisher: Nayar Hasan
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now