Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dayar-e-KHwab se aage safar karne ka din hai

Obaid Siddiqi

dayar-e-KHwab se aage safar karne ka din hai

Obaid Siddiqi

MORE BYObaid Siddiqi

    dayār-e-ḳhvāb se aage safar karne din hai

    to kyā ye qissa-e-jāñ muḳhtasar karne din hai

    bulāvā aa gayā hai phir mujhe sahrā-navardī

    yahī to zindagī ko ham-safar karne din hai

    mujhe raqs-e-junūñ karnā paḌegā shaam hone tak

    mudārāt-e-hujūm-e-dīda-tar karne din hai

    ḳhizāñ bad-havāsī us ke chehre se hai zāhir

    jahāñ ko mausam-e-gul ḳhabar karne din hai

    ye ḳhāshāk-e-samā.at ḳhaak honā chāhte haiñ

    zabāñ ko aaj apnī shola-gar karne din hai

    huā hai dīdanī manzar zamīñ se āsmāñ

    qafas meñ ārzū-e-bāl-o-par karne din hai

    dayar-e-KHwab se aage safar karne ka din hai

    to kya ye qissa-e-jaan muKHtasar karne ka din hai

    bulawa aa gaya hai phir mujhe sahra-nawardi ka

    yahi to zindagi ko ham-safar karne ka din hai

    mujhe raqs-e-junun karna paDega sham hone tak

    mudaraat-e-hujum-e-dida-tar karne ka din hai

    KHizan ki bad-hawasi us ke chehre se hai zahir

    jahan ko mausam-e-gul ki KHabar karne ka din hai

    ye KHashak-e-samaat KHak hona chahte hain

    zaban ko aaj apni shola-gar karne ka din hai

    hua hai didani manzar zamin se aasman ka

    qafas mein aarzu-e-baal-o-par karne ka din hai

    Source:

    Rang hava main phel raha hai (Pg. 69)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now