tujhse bichhaD kar kya hun main ab bahar aa kar dekh
tujh se bichhaḌ kar kyā huuñ maiñ ab bāhar aa kar dekh
himmat hai to merī hālat aañkh milā kar dekh
shaam hai gahrī tez havā hai sar pe khaḌī hai raat
rasta ga.e musāfir kā ab diyā jalā kar dekh
darvāze ke paas aa aa kar vāpas muḌtī chaap
kaun hai is sunsān galī meñ paas bulā kar dekh
shāyad koī dekhne vaalā ho jaa.e hairān
kamre kī dīvāroñ par koī naqsh banā kar dekh
tū bhī 'munīr' ab bhare jahāñ meñ mil kar rahnā siikh
bāhar se to dekh liyā ab andar jā kar dekh
tujh se bichhaD kar kya hun main ab bahar aa kar dekh
himmat hai to meri haalat aankh mila kar dekh
sham hai gahri tez hawa hai sar pe khaDi hai raat
rasta gae musafir ka ab diya jala kar dekh
darwaze ke pas aa aa kar wapas muDti chap
kaun hai is sunsan gali mein pas bula kar dekh
shayad koi dekhne wala ho jae hairan
kamre ki diwaron par koi naqsh bana kar dekh
tu bhi 'munir' ab bhare jahan mein mil kar rahna sikh
bahar se to dekh liya ab andar ja kar dekh
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 236)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.