dekh bhaal kar sambhal sambhal kar aate hain
dekh bhaal kar sambhal sambhal kar aate haiƱ
ham tak chehre umr badal kar aate haiƱ
jame haiƱ jo chehre ÄƱkhoƱ kÄ« koroƱ pe
aao un ko giit Ĕhazal kar aate haiƱ
jab kirneƱ paanī pe dastak detī haiƱ
lahroƱ pe girdÄb uchhal kar aate haiƱ
tum jaise ham lagne lageƱge Thahro to
ham bhÄ« apnÄ įø³huun badal kar aate haiƱ
gulshan se mujh tak aane meƱ havÄ ke haath
jaane kitne phuul masal kar aate haiƱ
'fÄnÄ«' jaise kuchh chehre bÄzÄroƱ meƱ
apnÄ« anÄ har roz nigal kar aate haiƱ
dekh bhaal kar sambhal sambhal kar aate hain
hum tak chehre umr badal kar aate hain
jame hain jo chehre aankhon ki koron pe
aao un ko git ghazal kar aate hain
jab kirnen pani pe dastak deti hain
lahron pe girdab uchhal kar aate hain
tum jaise hum lagne lagenge Thahro to
hum bhi apna KHun badal kar aate hain
gulshan se mujh tak aane mein hawa ke hath
jaane kitne phul masal kar aate hain
'fani' jaise kuchh chehre bazaron mein
apni ana har roz nigal kar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.