Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh darwaze se mujhko wo pari-ru haT gai

Meer Hasan

dekh darwaze se mujhko wo pari-ru haT gai

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    dekh darvāze se mujh ko vo parī-rū haT ga.ī

    dekhte us ke merī jaan bas chaT-paT ga.ī

    tum udhar dhote rahe muñh ham idhar rote rahe

    rote-dhote do ghaḌī baare maze se kaT ga.ī

    gard-e-kulfat bas-ki chhā.ī dil se āñkhoñ talak

    nahr thī jaarī jo āñkhoñ mire so paT ga.ī

    adā ne zulf ne dil hosh ġhamzoñ ne liyā

    jins-e-hastī apnī sab ġhārat meñ aa kar baT ga.ī

    parde parde meñ dil ko ḳhaak kar Daalā mire

    is adā se vo parī muñh par liye ghūñghaT ga.ī

    zulf gar chhidrī huī tere to mat khā pech-o-tāb

    kyā huā az-bas uThā.e bojh dil ke luT ga.ī

    kal jo merā ḳhush-nigah guzrā chaman se ai 'hasan'

    muuñd bādām ne aañkh aur nargis kaT ga.ī

    dekh darwaze se mujh ko wo pari-ru haT gai

    dekhte hi us ke meri jaan bas chaT-paT gai

    tum udhar dhote rahe munh hum idhar rote rahe

    rote-dhote do ghaDi bare maze se kaT gai

    gard-e-kulfat bas-ki chhai dil se ta aankhon talak

    nahr thi jari jo aankhon ki mere so paT gai

    ji ada ne zulf ne dil hosh ghamzon ne liya

    jins-e-hasti apni sab ghaarat mein aa kar baT gai

    parde hi parde mein dil ko KHak kar Dala mere

    is ada se wo pari munh par liye ghunghaT gai

    zulf gar chhidri hui tere to mat kha pech-o-tab

    kya hua az-bas uThae bojh dil ke luT gai

    kal jo mera KHush-nigah guzra chaman se ai 'hasan'

    mund li baadam ne aankh aur nargis kaT gai

    Source :
    • Deewan-e-Meer Hasan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now