Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh kar kurte gale mein sabz dhani aap ki

Nazeer Akbarabadi

dekh kar kurte gale mein sabz dhani aap ki

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    dekh kar kurte gale meñ sabz dhānī aap

    dhaan ke bhī khet ne ab aan maanī aap

    kyā ta.ajjub hai agar dekhe to murda uThe

    chain nefa Dhalak peḌū pe aanī aap

    ham to kyā haiñ dil farishtoñ bhī kāfir chhīn le

    Tuk jhalak dikhlā ke phir añgiyā chhupānī aap

    aa paḌī do-sau baras ke murda-e-be-jāñ meñ jaan

    jis ke uupar do ghaḌī ho mehrbānī aap

    ik lipaT kushtī ham se bhī to kar dekho zarā

    haañ bhalā ham bhī to jāneñ pahlvānī aap

    chhalle ġhairoñ paas hai vo ḳhātam-e-zar ai nigār

    hai hamāre paas bhī ab tak nishānī aap

    dekh kar kurte gale mein sabz dhani aap ki

    dhan ke bhi khet ne ab aan mani aap ki

    kya tajjub hai agar dekhe to murda ji uThe

    chain nefa ki Dhalak peDu pe aani aap ki

    hum to kya hain dil farishton ka bhi kafir chhin le

    Tuk jhalak dikhla ke phir angiya chhupani aap ki

    aa paDi do-sau baras ke murda-e-be-jaan mein jaan

    jis ke upar do ghaDi ho mehrbani aap ki

    ek lipaT kushti ki hum se bhi to kar dekho zara

    han bhala hum bhi to jaanen pahlwani aap ki

    chhalle ghairon pas hai wo KHatam-e-zar ai nigar

    hai hamare pas bhi ab tak nishani aap ki

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer(Volume-003) (Pg. 12)

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Edition: 1880
      • Publisher: Matba Mayoor Press, Delhi
      • Year of Publication: 1880
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now