Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh kar wahshat nigahon ki zaban bechain hai

Gautam Rajrishi

dekh kar wahshat nigahon ki zaban bechain hai

Gautam Rajrishi

MORE BYGautam Rajrishi

    dekh kar vahshat nigāhoñ zabāñ bechain hai

    phir sulagne ko koī ik dāstāñ bechain hai

    kaalī rātoñ ke salīqe din ko kyuuñ bhāne lage

    soch kar gum-sum hai dhartī āsmāñ bechain hai

    kāġhazoñ par ho ga.e saare ḳhulāse magar

    kuchh to hai jo hāshiyoñ ke darmiyāñ bechain hai

    jab se sāzish meñ samundar havā shāmil huī

    kashtī hai chup-chāp aur bādbāñ bechain hai

    bhed jab sargoshiyoñ khul ke aayā sāmne

    shor vo uTThā hai apnā hukmarāñ bechain hai

    hijr ke mausam kuchh mat pūchhiye uf dāstāñ

    maiñ yahāñ betāb huuñ to vo vahāñ bechain hai

    dekh kar wahshat nigahon ki zaban bechain hai

    phir sulagne ko koi ek dastan bechain hai

    kali raaton ke saliqe din ko kyun bhane lage

    soch kar gum-sum hai dharti aasman bechain hai

    kaghazon par ho gae sare KHulase hi magar

    kuchh to hai jo hashiyon ke darmiyan bechain hai

    jab se sazish mein samundar ki hawa shamil hui

    kashti hai chup-chap si aur baadban bechain hai

    bhed jab sargoshiyon ka khul ke aaya samne

    shor wo uTTha hai apna hukmaran bechain hai

    hijr ke mausam ki kuchh mat puchhiye uf dastan

    main yahan betab hun to wo wahan bechain hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now