dekh ke jis ko kabhi dil bhi na dhaDka apna
dekh ke jis ko kabhī dil bhī na dhaḌkā apnā
yaad kyoñ aatā hai rah rah ke vo chehra ham ko
har taraf se jo ye dil TuuTā to dhyān aatā hai
haa.e ik shaḳhs ne kis darja thā chāhā ham ko
saarā din dhuup meñ jhulse haiñ to ab shaam Dhale
kyoñ bulātā hai har ik peḌ ghanerā ham ko
us kī chāhat ko sahārā na kahūñ jiine kā
raas aatā nahīñ koī bhī sahārā ham ko
har-nafas ham ne sarāboñ meñ guzārā 'fīroz'
har ghaḌī paas bulātā rahā dariyā ham ko
dekh ke jis ko kabhi dil bhi na dhaDka apna
yaad kyon aata hai rah rah ke wo chehra hum ko
har taraf se jo ye dil TuTa to dhyan aata hai
hae ek shaKHs ne kis darja tha chaha hum ko
sara din dhup mein jhulse hain to ab sham Dhale
kyon bulata hai har ek peD ghanera hum ko
us ki chahat ko sahaara na kahun jine ka
ras aata nahin koi bhi sahaara hum ko
har-nafas hum ne sarabon mein guzara 'firoz'
har ghaDi pas bulata raha dariya hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.