dekh pachhtaega nadan zara hosh mein aa
dekh pachhtā.egā nādān zarā hosh meñ aa
chaar hī din kā hai mehmān zarā hosh meñ aa
kar ke aġhyār kī rasmoñ kī sarīhan taqlīd
ḳhud ko kahtā hai musalmān zarā hosh meñ aa
apne aslāf ke kirdār bhulāne vaale
kitnī ūñchī thī tirī shaan zarā hosh meñ aa
bakriyāñ jin ko charānī bhī nahīñ aatī thiiñ
ban ga.e kaise vo sultān zarā hosh meñ aa
dīn-e-haq kī nahīñ kar paayā hifāzat to phir
shohadā pakḌeñge garebān zarā hosh meñ aa
hai abhī vaqt sañbhalne kā sañbhal jā 'sājid'
tere hāthoñ meñ hai qur.ān zarā hosh meñ aa
dekh pachhtaega nadan zara hosh mein aa
chaar hi din ka hai mehman zara hosh mein aa
kar ke aghyar ki rasmon ki sarihan taqlid
KHud ko kahta hai musalman zara hosh mein aa
apne aslaf ke kirdar bhulane wale
kitni unchi thi teri shan zara hosh mein aa
bakriyan jin ko charani bhi nahin aati thin
ban gae kaise wo sultan zara hosh mein aa
din-e-haq ki nahin kar paya hifazat to phir
shohada pakDenge gareban zara hosh mein aa
hai abhi waqt sanbhalne ka sanbhal ja 'sajid'
tere hathon mein hai quran zara hosh mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.