dekh to ghar se nikal kar ki gali mein kya hai
dekh to ghar se nikal kar ki galī meñ kyā hai
tujh meñ kuchh bhī na sahī aur kisī meñ kyā hai
dekh le jhāñk ke apnā hī garebāñ koī
sab meñ hotī hai havas ek mujhī meñ kyā hai
milte rahte haiñ bahut log tumhāre jaise
par samajh meñ nahīñ aatā ki tumhī meñ kyā hai
sab kuchh ehsās pe mauqūf huā kartā hai
ġham meñ kyā hai mire be-dard ḳhushī meñ kyā hai
maiñ ne ye soch ke rokā nahīñ jaane se use
baa'd meñ bhī yahī hogā to abhī meñ kyā hai
tez chalnā mujhe aatā hai magar aap ke saath
kaif mat pūchhiye āhista-ravī meñ kyā hai
aadmī ke liye ronā hai baḌī baat 'sha'ūr'
hañs to sakte haiñ sab insān hañsī meñ kyā hai
dekh to ghar se nikal kar ki gali mein kya hai
tujh mein kuchh bhi na sahi aur kisi mein kya hai
dekh le jhank ke apna hi gareban koi
sab mein hoti hai hawas ek mujhi mein kya hai
milte rahte hain bahut log tumhaare jaise
par samajh mein nahin aata ki tumhi mein kya hai
sab kuchh ehsas pe mauquf hua karta hai
gham mein kya hai mere be-dard KHushi mein kya hai
main ne ye soch ke roka nahin jaane se use
ba'd mein bhi yahi hoga to abhi mein kya hai
tez chalna mujhe aata hai magar aap ke sath
kaif mat puchhiye aahista-rawi mein kya hai
aadmi ke liye rona hai baDi baat 'sha'ur'
hans to sakte hain sab insan hansi mein kya hai
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 42)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.