dekh usko ek aah humne kar li
dekh us ko ik aah ham ne kar lī
hasrat se nigāh ham ne kar lī
I deeply sigh, when, her, I see
and glance at her / then wistfully
kyā jaane koī ki ghar meñ baiThe
us shoḳh se raah ham ne kar lī
who would know / whilst staying home
with her I've gained proximity
bande pe na kar karam ziyāda
bas bas tirī chaah ham ne kar lī
pray, favour not this slave so much
enough, enough, I'm done with thee
jab us ne chalā.ī teġh ham par
hāthoñ kī panāh ham ne kar lī
safety in her arms I found
when she swung her sword at me
naḳhvat se jo koī pesh aayā
kaj apnī kulāh ham ne kar lī
my cap, I then kept at a slant
if someone acted haughtily
zulf-o-ruḳh-e-mahvashāñ kī daulat
sair-e-shab-e-māh ham ne kar lī
I've relished many moonlit nights
when faces, tresses favoured me
kyā der hai phir ye abr-e-rahmat
taḳhtī to siyāh ham ne kar lī
O rain of mercy, what delay?
my slate I've blackened totally
dī zabt meñ jab ki 'mus.hafī' jaañ
sharm us kī gavāh ham ne kar lī
in self control, I gave my life
in witness, stood her modesty
dekh us ko ek aah hum ne kar li
hasrat se nigah hum ne kar li
I deeply sigh, when, her, I see
and glance at her / then wistfully
kya jaane koi ki ghar mein baiThe
us shoKH se rah hum ne kar li
who would know / whilst staying home
with her I've gained proximity
bande pe na kar karam ziyaada
bas bas teri chah hum ne kar li
pray, favour not this slave so much
enough, enough, I'm done with thee
jab us ne chalai tegh hum par
hathon ki panah hum ne kar li
safety in her arms I found
when she swung her sword at me
naKHwat se jo koi pesh aaya
kaj apni kulah hum ne kar li
my cap, I then kept at a slant
if someone acted haughtily
zulf-o-ruKH-e-mahwashan ki daulat
sair-e-shab-e-mah hum ne kar li
I've relished many moonlit nights
when faces, tresses favoured me
kya der hai phir ye abr-e-rahmat
taKHti to siyah hum ne kar li
O rain of mercy, what delay?
my slate I've blackened totally
di zabt mein jab ki 'mushafi' jaan
sharm us ki gawah hum ne kar li
in self control, I gave my life
in witness, stood her modesty
- Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 64)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.