Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekha hai raqs-e-shoala gul-o-lala-zar ne

Riyaz Ghazipuri

dekha hai raqs-e-shoala gul-o-lala-zar ne

Riyaz Ghazipuri

MORE BYRiyaz Ghazipuri

    dekhā hai raqs-e-sho.ala gul-o-lāla-zār ne

    ḳhud āshiyāñ ko aag lagā bahār ne

    siine meñ ab kahīñ bhī ḳhizāñ nishāñ nahīñ

    yuuñ gul khilā diye haiñ dil-e-dāġhdār ne

    maiñ kar chukā thā zabt ġham-e-ishq ko magar

    luuTā mirā sukūn dil-e-be-qarār ne

    āñkhoñ meñ dam rukā hai laboñ par hai terā naam

    zinda faqat rakhā hai tire intizār ne

    dohrā diyā tabāhī afsāna baar baar

    sāz-e-dil-e-shikasta ke har ek taar ne

    bahbūdī-e-chaman ke the sab mudda.ī magar

    chhoḌā hai apnā farz har ik zimma-dār ne

    hañs hañs ke un kahnā shab-e-vasl meñ 'riyāz'

    be-bas kiyā hai aap ke qaul-o-qarār ne

    dekha hai raqs-e-shoala gul-o-lala-zar ne

    KHud aashiyan ko aag laga di bahaar ne

    sine mein ab kahin bhi KHizan ka nishan nahin

    yun gul khila diye hain dil-e-daghdar ne

    main kar chuka tha zabt gham-e-ishq ko magar

    luTa mera sukun dil-e-be-qarar ne

    aankhon mein dam ruka hai labon par hai tera nam

    zinda faqat rakha hai tere intizar ne

    dohra diya tabahi ka afsana bar bar

    saz-e-dil-e-shikasta ke har ek tar ne

    bahbudi-e-chaman ke the sab muddai magar

    chhoDa hai apna farz har ek zimma-dar ne

    hans hans ke un ka kahna shab-e-wasl mein 'riyaz'

    be-bas kiya hai aap ke qaul-o-qarar ne

    Source:

    Riyaz-e-Sukhan (Pg. 131)

      • Publisher: Riyaz Ghazipuri
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now