Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi

Aftab Hussain

dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi

Aftab Hussain

MORE BYAftab Hussain

    dekhe koī ta.alluq-e-ḳhātir ke rañg bhī

    us fitna-ḳhū se pyaar bhī hai aur jañg bhī

    dil nahīñ hai us ke tasavvur meñ shād-kām

    ik sarḳhushī meñ jhūmtā hai añg añg bhī

    kuchh rabt-e-ḳhās asl zāhir ke saath hai

    ḳhushbū uḌe to uḌtā hai phūloñ rañg bhī

    aisā nahīñ ki aaTh pahar be-dilī rahe

    bajte haiñ ġham-kade meñ kabhī jal-tarañg bhī

    dekhā hai aaj us ne mujhe muḌ ke 'āftāb'

    is vāqiye pe ḳhush bhī huuñ maiñ aur dañg bhī

    dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi

    us fitna-KHu se pyar bhi hai aur jang bhi

    dil hi nahin hai us ke tasawwur mein shad-kaam

    ek sarKHushi mein jhumta hai ang ang bhi

    kuchh rabt-e-KHas asl ka zahir ke sath hai

    KHushbu uDe to uDta hai phulon ka rang bhi

    aisa nahin ki aaTh pahar be-dili rahe

    bajte hain gham-kade mein kabhi jal-tarang bhi

    dekha hai aaj us ne mujhe muD ke 'aftab'

    is waqiye pe KHush bhi hun main aur dang bhi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now