aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein

Jafar Raza

dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein

Jafar Raza

MORE BYJafar Raza

    dekhe to tamaddun banñā koī urdu meñ

    begāna mizājoñ hai dostī urdu meñ

    alfāz na.e Dhāle kyā kyā na.ī urdu meñ

    raa.ij mutabādil haiñ jin ke ka.ī urdu meñ

    hai qaid ilāqe maz.hab na millat

    milte haiñ dil-o-jāñ ke rishte ka.ī urdu meñ

    zholīda-bayāñ vo haiñ pechīda zabāñ un

    ik shart safā.ī bas rah ga.ī urdu meñ

    hai tarjume ke bal par ye dām-zabāñ-dānī

    ik kāvish-e-be-dānish phir phañs ga.ī urdu meñ

    ab shāyad isī sūrat kuchh baat bane un

    sochī thī jo english meñ tahrīr urdu meñ

    ye un nigārish hai dūsroñ utran

    ye saarī baḌī bāteñ haiñ kaun urdu meñ

    dekhī jo mirī uchkan vo shoḳh pukār uTThā

    jachne lage sarkār ab apnī na.ī urdu meñ

    kyā ḳhuub jachtī hai in mashriqī kapḌoñ meñ

    añgrezī meñ ye kyā thī kyā ho ga.ī urdu meñ

    shikva na shikāyat hai pechīda bayānī

    kyuuñ talḳh ye lahja hai kahiye bha.ī urdu meñ

    dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein

    begana mizajon ki hai dosti urdu mein

    alfaz nae Dhaale kya kya nai urdu mein

    raij mutabaadil hain jin ke kai urdu mein

    hai qaid ilaqe ki mazhab ki na millat ki

    milte hain dil-o-jaan ke rishte kai urdu mein

    zholida-bayan wo hain pechida zaban un ki

    ek shart safai ki bas rah gai urdu mein

    hai tarjume ke bal par ye dam-zaban-dani

    ek kawish-e-be-danish phir phans gai urdu mein

    ab shayad isi surat kuchh baat bane un ki

    sochi thi jo english mein tahrir ki urdu mein

    ye un ki nigarish hai ya dusron ki utran

    ye sari baDi baaten hain kaun si urdu mein

    dekhi jo meri uchkan wo shoKH pukar uTTha

    jachne lage sarkar ab apni nai urdu mein

    kya KHub hi jachti hai in mashriqi kapDon mein

    angrezi mein ye kya thi kya ho gai urdu mein

    shikwa na shikayat hai pechida bayani ki

    kyun talKH ye lahja hai kahiye bhai urdu mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now