dekhen hamein jo shor zaruri samajhte hain
dekheñ hameñ jo shor zarūrī samajhte haiñ
chup bhī haiñ aur baat bhī puurī samajhte haiñ
ashkoñ ko darmiyān meñ laa.e baġhair ham
hairat hai hāzirī ko huzūrī samajhte haiñ
duniyā to apne hone kī jo bhī dalīl de
ham log is ko ġhair-zarūrī samajhte haiñ
dekhen hamein jo shor zaruri samajhte hain
chup bhi hain aur baat bhi puri samajhte hain
ashkon ko darmiyan mein lae baghair hum
hairat hai haziri ko huzuri samajhte hain
duniya to apne hone ki jo bhi dalil de
hum log is ko ghair-zaruri samajhte hain
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 119)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.