Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhiye kis husn se poshida gham ka raaz hai

Rasheed lakhnavi

dekhiye kis husn se poshida gham ka raaz hai

Rasheed lakhnavi

MORE BYRasheed lakhnavi

    dekhiye kis husn se poshīda ġham raaz hai

    tiir mere dil meñ hai parde meñ tīr-andāz hai

    ḳhat jo aaya hai vahāñ se band rahne do use

    us meñ poshīda hamārī zindagī raaz hai

    batlā de are o bānī-e-dair-o-haram

    donoñ āvāzoñ meñ terī kaun āvāz hai

    ilāhī ro rahā hai kaun merī qabr par

    ye to jaise merī pahchānī huī āvāz hai

    naza.a ab vaqt hai itnā to kah diije 'rashīd'

    aane vaale jald aa ye āḳhirī āvāz hai

    dekhiye kis husn se poshida gham ka raaz hai

    tir mere dil mein hai parde mein tir-andaz hai

    KHat jo aaya hai wahan se band rahne do use

    us mein poshida hamari zindagi ka raaz hai

    tu hi batla de are o bani-e-dair-o-haram

    donon aawazon mein teri kaun si aawaz hai

    ya ilahi ro raha hai kaun meri qabr par

    ye to jaise meri pahchani hui aawaz hai

    naza ka ab waqt hai itna to kah dije 'rashid'

    aane wale jald aa ye aaKHiri aawaz hai

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی (Pg. 123)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now