Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhiyo uski zara aankh dikhane ka maza

Jurat Qalandar Bakhsh

dekhiyo uski zara aankh dikhane ka maza

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    dekhiyo us zarā aañkh dikhāne mazā

    chitvanoñ meñ hai bharā saare zamāne mazā

    kis maze se hai ayaañ duzdī-e-dil hai zālim

    luuñ charā kyūñki tire aañkh churāne mazā

    lazzat-e-vasl koī pūchhe to jaatā huuñ

    kah ke hoñToñ meñ hoñToñ ke milāne mazā

    kyā tire mai-kash-e-ulfat ye kaifiyyat hai

    dard-e-dil kar ke bayāñ rone rulāne mazā

    dast-bar-dil ho uThātā huuñ ajab lazzat-e-dard

    yaad kar hijr meñ vo haath baḌhāne mazā

    jo ḳhamoshī meñ hai lazzat nahīñ goyā.ī meñ

    be-ḳhudī hai kahāñ aap meñ aane mazā

    us ke laḌne ke bhī sadqe ki nazar aatā hai

    ain ranjish meñ ajab aañkh laḌāne mazā

    ḳhvāb-o-ḳhur se tire bīmār ko kyā kaam ki hai

    lazzat-e-ḳhvāb na kuchh is ko na khāne mazā

    yaad aatā hai to jaatā huuñ ḳhudā jaane kahāñ

    vo lagāvaT nigāhoñ meñ bulāne mazā

    kyā kahūñ vasl shab le ke balā.eñ us

    kyā uThātā huuñ maiñ zaanū pe biThāne mazā

    maiñ to phir aap meñ rahtā nahīñ dil se pūchho

    aage phir bheñch ke chhātī se lagāne mazā

    dar pe us parda-nashīñ ke ho to bā-saut-e-buland

    sher us vaqt hai 'jur.at' se paḌhāne mazā

    dekhiyo us ki zara aankh dikhane ka maza

    chitwanon mein hai bhara sare zamane ka maza

    kis maze se hai ayan duzdi-e-dil hai zalim

    lun chara kyunki tere aankh churane ka maza

    lazzat-e-wasl koi puchhe to pi jata hun

    kah ke honTon hi mein honTon ke milane ka maza

    kya tere mai-kash-e-ulfat ka ye kaifiyyat hai

    dard-e-dil kar ke bayan rone rulane ka maza

    dast-bar-dil ho uThata hun ajab lazzat-e-dard

    yaad kar hijr mein wo hath baDhane ka maza

    jo KHamoshi mein hai lazzat nahin goyai mein

    be-KHudi sa hai kahan aap mein aane ka maza

    us ke laDne ke bhi sadqe ki nazar aata hai

    ain ranjish mein ajab aankh laDane ka maza

    KHwab-o-KHur se tere bimar ko kya kaam ki hai

    lazzat-e-KHwab na kuchh is ko na khane ka maza

    yaad aata hai to jata hun KHuda jaane kahan

    wo lagawaT ki nigahon mein bulane ka maza

    kya kahun wasl ki shab le ke balaen us ki

    kya uThata hun main zanu pe biThane ka maza

    main to phir aap mein rahta nahin dil se puchho

    aage phir bhench ke chhati se lagane ka maza

    dar pe us parda-nashin ke ho to ba-saut-e-buland

    sher us waqt hai 'jurat' se paDhane ka maza

    Source:

    Kulliyat-e-Jura t áVolume-01 â (Pg. page-34 and E-Book-74)

    • Author: Jurat Qalandar Bakhsh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now