Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhna hai yun bhi kuchh taskin pa sakta hun main

Sahar Rampuri

dekhna hai yun bhi kuchh taskin pa sakta hun main

Sahar Rampuri

MORE BYSahar Rampuri

    dekhnā hai yuuñ bhī kuchh taskīn saktā huuñ maiñ

    zabt-e-hasrat ek do aañsū bahā saktā huuñ maiñ

    koshisheñ nākām ummīdoñ duniyā pā.emāl

    zindagī ko zindagī kis tarah saktā huuñ maiñ

    fasl-e-gul mahkī huī rāteñ vafūr-e-be-ḳhudī

    is fasāne ko haqīqat bhī banā saktā huuñ maiñ

    sochnā thā apnī barbādī se pahle mujhe

    aadmī hote hue Thokar bhī khā saktā huuñ maiñ

    farq-e-nauiyat hai lekin ishq bhī muḳhtār hai

    muskurā sakte haiñ vo aañsū bahā saktā huuñ maiñ

    ab bhī duniyā meñ vafā naam baaqī hai 'sahar'

    bhūlne vaale ko ab bhī yaad aa saktā huuñ maiñ

    dekhna hai yun bhi kuchh taskin pa sakta hun main

    zabt-e-hasrat ek do aansu baha sakta hun main

    koshishen nakaam ummidon ki duniya paemal

    zindagi ko zindagi kis tarah pa sakta hun main

    fasl-e-gul mahki hui raaten wafur-e-be-KHudi

    is fasane ko haqiqat bhi bana sakta hun main

    sochna tha apni barbaadi se pahle hi mujhe

    aadmi hote hue Thokar bhi kha sakta hun main

    farq-e-nauiyat hai lekin ishq bhi muKHtar hai

    muskura sakte hain wo aansu baha sakta hun main

    ab bhi duniya mein wafa ka nam baqi hai 'sahar'

    bhulne wale ko ab bhi yaad aa sakta hun main

    Source:

    Naqsh-e-Na-Tamam (Pg. 48)

    • Author: Sahar Rampuri
      • Year of Publication: 1940
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now