Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhne walo zara tum bhi manzar dekhna

Waqar Riyaz

dekhne walo zara tum bhi manzar dekhna

Waqar Riyaz

MORE BYWaqar Riyaz

    dekhne vaalo zarā tum bhī manzar dekhnā

    rāh-e-haq meñ kaTegā ab mirā sar dekhnā

    aañkh se ho kar tire dil meñ utar jā.ūñgā maiñ

    shart ye hai pyaar aañkh ban kar dekhnā

    aapsī jhagḌe meñ saare log zaḳhmī ho ga.e

    kis gardan kis māthā kis ab sar dekhnā

    roz-o-shab duniyā meñ yuuñ bhī ek mahshar hai bapā

    aur kyā baaqī hai maulā roz-e-mahshar dekhnā

    pyaar ke ham biij bo.e haiñ baḌe iḳhlās se

    ek din saarā chaman hogā mo.attar dekhnā

    gosha gosha is chaman jhuum kar lahrā.egā

    patte patte par hamārā naam likh kar dekhnā

    bas chalā karte haiñ ham to jānib-e-manzil 'vaqār'

    ham ne sīkhā nahīñ rāhoñ ke patthar dekhnā

    dekhne walo zara tum bhi manzar dekhna

    rah-e-haq mein hi kaTega ab mera sar dekhna

    aankh se ho kar tere dil mein utar jaunga main

    shart ye hai pyar ki tu aankh ban kar dekhna

    aapsi jhagDe mein sare log zaKHmi ho gae

    kis ki gardan kis ka matha kis ka ab sar dekhna

    roz-o-shab duniya mein yun bhi ek mahshar hai bapa

    aur kya baqi hai maula roz-e-mahshar dekhna

    pyar ke hum bij boe hain baDe iKHlas se

    ek din sara chaman hoga moattar dekhna

    gosha gosha is chaman ka jhum kar lahraega

    patte patte par hamara nam likh kar dekhna

    bas chala karte hain hum to jaanib-e-manzil 'waqar'

    hum ne sikha hi nahin rahon ke patthar dekhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now