Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekho aaqa ki gali aur wo rauza dekho

Rakhshan Hashmi

dekho aaqa ki gali aur wo rauza dekho

Rakhshan Hashmi

MORE BYRakhshan Hashmi

    dekho aaqā galī aur vo rauza dekho

    apnī nazroñ ko sukūñ baḳhsh do ka.aba dekho

    maiñ dil-o-jān se rauze pe jhukī jaatī huuñ

    dil pukāre chalā jaatā hai jalva dekho

    mushkiloñ meñ bhī vahī ishq tujhe thā mai

    ġham salāmat rahe ḳhushiyoñ farishta dekho

    saare aalam meñ koī raushnī phūTī hai

    saarī duniyā meñ koī nuur ubhartā dekho

    aañkh vīrān pareshān rahā kartī hai

    ik jhalak tum bhī yahāñ aao madīna dekho

    zaḳhm bhī phūloñ mānind mahak uTTheñge

    ik nazar merī taraf jān-e-masīhā dekho

    mire aaqā aqīdat se kitābeñ raushan

    aao aao mire mahbūb qissa dekho

    tum ko har ḳhvāb ta.abīr milegī 'raḳhshāñ'

    pahle sochoñ meñ basā kar vo aqīda dekho

    dekho aaqa ki gali aur wo rauza dekho

    apni nazron ko sukun baKHsh do kaba dekho

    main dil-o-jaan se rauze pe jhuki jati hun

    dil pukare hi chala jata hai jalwa dekho

    mushkilon mein bhi wahi ishq tujhe tha mai ka

    gham salamat rahe KHushiyon ka farishta dekho

    sare aalam mein koi raushni si phuTi hai

    sari duniya mein koi nur ubharta dekho

    aankh viran pareshan raha karti hai

    ek jhalak tum bhi yahan aao madina dekho

    zaKHm bhi phulon ki manind mahak uTThenge

    ek nazar meri taraf jaan-e-masiha dekho

    mere aaqa ki aqidat se kitaben raushan

    aao aao mere mahbub ka qissa dekho

    tum ko har KHwab ki tabir milegi 'raKHshan'

    pahle sochon mein basa kar wo aqida dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now