dekho ki nim-shab ko chaTakti hai KHamushi
dekho ki nīm-shab ko chaTaktī hai ḳhāmushī
chhāoñ meñ chāñdnī kī mahaktī hai ḳhāmushī
dekho ki barq-pāra koī jism par girā
aur vahshat-e-barahna ko Dhaktī hai ḳhāmushī
dekho ki mal ke pairahan-e-soḳhta kī raakh
chingāriyoñ ke saath lapaktī hai ḳhāmushī
dekho ki nok-e-ḳhār pe dahshat ke vāste
bosīda pairahan sī laTaktī hai ḳhāmushī
dekho ki rauzan-e-shab-e-tanhā.ī khol kar
āñkhoñ ke ābshār ko taktī hai ḳhāmushī
dekho ki abr-e-ġham ke masāmoñ ko chiir kar
dīvār-o-dar se aaj Tapaktī hai ḳhāmushī
dekho ki kohsār-e-dil-e-pur-hirās ke
kis darrah-e-fanā meñ kaḌaktī hai ḳhāmushī
dekho ki os vahshat-e-tan par paḌī 'shafaq'
aur ḳhema-e-havā meñ dahaktī hai ḳhāmushī
dekho ki nim-shab ko chaTakti hai KHamushi
chhaon mein chandni ki mahakti hai KHamushi
dekho ki barq-para koi jism par gira
aur wahshat-e-barahna ko Dhakti hai KHamushi
dekho ki mal ke pairahan-e-soKHta ki rakh
chingariyon ke sath lapakti hai KHamushi
dekho ki nok-e-KHar pe dahshat ke waste
bosida pairahan si laTakti hai KHamushi
dekho ki rauzan-e-shab-e-tanhai khol kar
aankhon ke aabshaar ko takti hai KHamushi
dekho ki abr-e-gham ke masamon ko chir kar
diwar-o-dar se aaj Tapakti hai KHamushi
dekho ki kohsar-e-dil-e-pur-hiras ke
kis darrah-e-fana mein kaDakti hai KHamushi
dekho ki os wahshat-e-tan par paDi 'shafaq'
aur KHema-e-hawa mein dahakti hai KHamushi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.