Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekho to sirf haal faqiron ka dekhna

Parvez Waris

dekho to sirf haal faqiron ka dekhna

Parvez Waris

MORE BYParvez Waris

    dekho to sirf haal faqīroñ dekhnā

    kis ne kahā mizāj amīroñ dekhnā

    sāhil paḌe haiñ thāme hue koī aa.ina

    dariyā meñ duur aks jazīroñ dekhnā

    kab ye ufuq ko kaun se paikar meñ Dhaal de

    halchal bādaloñ lakīroñ dekhnā

    jaise barahna shāḳh liye kah rahe haiñ kuchh

    manzar ḳhizāñ rut meñ asīroñ dekhnā

    kuchh muddaoñ meñ maanā irāde javāñ sahī

    kuchh baat meñ ḳhayāl bhī pīroñ dekhnā

    kam hai giraft kis kamāñ pe ḳhayāl rakh

    taakā huā nishān na tīroñ dekhnā

    vo qāfile amiir ke 'parvez' ik taraf

    kuchh rahbaroñ meñ josh nazīroñ dekhnā

    dekho to sirf haal faqiron ka dekhna

    kis ne kaha mizaj amiron ka dekhna

    sahil paDe hain thame hue koi aaina

    dariya mein dur aks jaziron ka dekhna

    kab ye ufuq ko kaun se paikar mein Dhaal de

    halchal sa baadalon ki lakiron ka dekhna

    jaise barahna shaKH liye kah rahe hain kuchh

    manzar KHizan ki rut mein asiron ka dekhna

    kuchh muddaon mein mana irade jawan sahi

    kuchh baat mein KHayal bhi piron ka dekhna

    kam hai giraft kis ki kaman pe KHayal rakh

    taka hua nishan na tiron ka dekhna

    wo qafile amir ke 'parwez' ek taraf

    kuchh rahbaron mein josh naziron ka dekhna

    Source:

    Waqt Tham Gaya (Pg. 37)

    • Author: Parvez Waris
      • Publisher: Gujarat Urdu Sahitya Academy, Gujarat
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now