Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhte hain kab talak ye rog pala jaega

Paraveen Rai

dekhte hain kab talak ye rog pala jaega

Paraveen Rai

MORE BYParaveen Rai

    dekhte haiñ kab talak ye rog paalā jā.egā

    aañkh se kab hijr kāñTā nikālā jā.egā

    aaj se kal kal se parsoñ aur sāloñ saal

    kyā hamāre vasl ko aise Taalā jā.egā

    kab na jaane zindagī lutf aa.egā hameñ

    kab na jaane dil ke andar ye chhālā jā.egā

    jurm ye aap se ham ko mohabbat ho ga.ī

    ab zarā se jurm par kyā maar Daalā jā.egā

    zindagī-bhar aap ne ham ko uchhālā hai bahut

    mar gayā to kyā janāza bhī uchhālā jā.egā

    dekhte hain kab talak ye rog pala jaega

    aankh se kab hijr ka kanTa nikala jaega

    aaj se kal kal se parson aur salon sal hi

    kya hamare wasl ko aise hi Tala jaega

    kab na jaane zindagi ka lutf aaega hamein

    kab na jaane dil ke andar ka ye chhaala jaega

    jurm ye ki aap se hum ko mohabbat ho gai

    ab zara se jurm par kya mar Dala jaega

    zindagi-bhar aap ne hum ko uchhaala hai bahut

    mar gaya to kya janaza bhi uchhaala jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now