Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhte hi dhaDkanen sari pareshan ho gain

Ahtamam Sadiq

dekhte hi dhaDkanen sari pareshan ho gain

Ahtamam Sadiq

MORE BYAhtamam Sadiq

    dekhte dhaḌkaneñ saarī pareshāñ ho ga.iiñ

    terī āñkheñ ai sitamgar āfat-e-jāñ ho ga.iiñ

    aa gayā palkoñ pe ashkoñ ke patañgoñ hujūm

    jab kisī yaad sham.eñ farozāñ ho ga.iiñ

    phir mirī tasbīh ke daane bikhar kar rah ga.e

    phir duā.eñ aaj un ke dar mehmāñ ho ga.iiñ

    un ke har ik lams aisā asar mujh par huā

    dil dīvāreñ sabhī shahr-e-nigārāñ ho ga.iiñ

    ye shab-e-tanhā.ī 'sādiq' mujh ko Das letī magar

    shukr hai yādeñ dar-e-dil nigahbāñ ho ga.iiñ

    dekhte hi dhaDkanen sari pareshan ho gain

    teri aankhen ai sitamgar aafat-e-jaan ho gain

    aa gaya palkon pe ashkon ke patangon ka hujum

    jab kisi ki yaad ki shamen farozan ho gain

    phir meri tasbih ke dane bikhar kar rah gae

    phir duaen aaj un ke dar ki mehman ho gain

    un ke har ek lams ka aisa asar mujh par hua

    dil ki diwaren sabhi shahr-e-nigaran ho gain

    ye shab-e-tanhai 'sadiq' mujh ko Das leti magar

    shukr hai yaaden dar-e-dil ki nigahban ho gain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now