Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhte sajde mein aata hai jo karta hai nigah

Shaikh Zahuruddin Hatim

dekhte sajde mein aata hai jo karta hai nigah

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    dekhte sajde meñ aatā hai jo kartā hai nigāh

    tere abrū hai mehrāb magar baitullāh

    yak palak meñ vo kare piis ke faujeñ surma

    jis taraf ko phire zālim tirī mizhgāñ sipāh

    bait-bahsī na kar ai fāḳhta gulshan meñ ki aaj

    misra-e-sarv se mauzūñ hai mirā misra-e-āh

    kishvar-e-ishq shāhī hai magar majnūñ ko

    ki zamīñ taḳht hai sar par hai bagūle kulāh

    kyūñkar in kaalī balāoñ se bachegā āshiq

    ḳhat siyah ḳhaal siyah zulf siyah chashm siyāh

    chāhtā hai shab-e-zulfāñ tirī umr darāz

    ki mire ishq hove nahīñ qissa kotāh

    kyā kahe kyūñki kahe tujh se ye 'hātim' ġham-e-dil

    ki vo hai sharm se mahjūb o hai be-parvāh

    dekhte sajde mein aata hai jo karta hai nigah

    tere abru ki hai mehrab magar baitullah

    yak palak mein wo kare pis ke faujen surma

    jis taraf ko phire zalim teri mizhgan ki sipah

    bait-bahsi na kar ai faKHta gulshan mein ki aaj

    misra-e-sarw se mauzun hai mera misra-e-ah

    kishwar-e-ishq ki shahi hai magar majnun ko

    ki zamin taKHt hai sar par hai bagule ki kulah

    kyunkar in kali balaon se bachega aashiq

    KHat siyah KHal siyah zulf siyah chashm siyah

    chahta hai shab-e-zulfan ki teri umr daraaz

    ki mere ishq ka howe nahin qissa kotah

    kya kahe kyunki kahe tujh se ye 'hatim' gham-e-dil

    ki wo hai sharm se mahjub o tu hai be-parwah

    Source:

    Diwan-e-Zadah (Pg. 284)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now