Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

deta tha jo saya wo shajar kaT raha hai

Bilqis Zafirul Hasan

deta tha jo saya wo shajar kaT raha hai

Bilqis Zafirul Hasan

MORE BYBilqis Zafirul Hasan

    detā thā jo saayā vo shajar kaaT rahā hai

    ḳhud apne tahaffuz vo jaḌ kaaT rahā hai

    be-samt uḌānoñ se pashīmāñ parinda

    ab apnī minqār se par kaaT rahā hai

    mahbūs huuñ ġhāroñ meñ magar āzar-e-taḳhīl

    chaTTānoñ meñ ashkāl-e-hunar kaaT rahā hai

    ik zarb-e-musalsal hai ki ruktī nahīñ hai

    har tār-e-nafas dard-e-jigar kaaT rahā hai

    hai kaun kamīñ-gāh meñ ye kaise batā.ūñ

    har tiir magar mere par kaaT rahā hai

    ummīd ujāle liye tesha har ik dil

    har raat ba-andāz-e-sahar kaaT rahā hai

    kartā hai fuzūñ vahshat-e-dil dasht mausam

    'bilqīs' magar kyā karūñ ghar kaaT rahā hai

    deta tha jo saya wo shajar kaT raha hai

    KHud apne tahaffuz ki wo jaD kaT raha hai

    be-samt uDanon se pashiman parinda

    ab apni hi minqar se par kaT raha hai

    mahbus hun ghaaron mein magar aazar-e-taKHil

    chaTTanon mein ashkal-e-hunar kaT raha hai

    ek zarb-e-musalsal hai ki rukti hi nahin hai

    har tar-e-nafas dard-e-jigar kaT raha hai

    hai kaun kamin-gah mein ye kaise bataun

    har tir magar mere hi par kaT raha hai

    ummid ujale ka liye tesha har ek dil

    har raat ba-andaz-e-sahar kaT raha hai

    karta hai fuzun wahshat-e-dil dasht ka mausam

    'bilqis' magar kya karun ghar kaT raha hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now