dhaar kaisi hai ye talwar se kaT kar dekha
dhaar kaisī hai ye talvār se kaT kar dekhā
marhabā chashm ki us ḳhvāb ko DaT kar dekhā
maiñ na kahtā thā ki rah jā.egī mub.ham ho kar
ḳhāmushī ne jo sadāoñ se lipaT kar dekhā
yuuñ lagā jaise ki phir maiñ ne sadā dī tum ko
yuuñ lagā jaise ki phir tum ne palaT kar dekhā
huā mā'lūm vahāñ ḳhatm zamīñ hotī thī
tere dar se jo zarā pīchhe ko haT kar dekhā
apnī vus'at kā use 'ilm huā yuuñ yaaro
us ne ik shab mirī bāñhoñ meñ simaT kar dekhā
farq aayā na koī baat 'ajab hai logo
maiñ ne duniyā ko ka.ī baar ulaT kar dekhā
vo nahīñ aayā magar us ko bulāne ke liye
bujh ke āñkhoñ ne to nīñdoñ ne uchaT kar dekhā
dhaar kaisi hai ye talwar se kaT kar dekha
marhaba chashm ki us KHwab ko DaT kar dekha
main na kahta tha ki rah jaegi mubham ho kar
KHamushi ne jo sadaon se lipaT kar dekha
yun laga jaise ki phir main ne sada di tum ko
yun laga jaise ki phir tum ne palaT kar dekha
hua ma'lum wahan KHatm zamin hoti thi
tere dar se jo zara pichhe ko haT kar dekha
apni wus'at ka use 'ilm hua yun yaro
us ne ek shab meri banhon mein simaT kar dekha
farq aaya na koi baat 'ajab hai logo
main ne duniya ko kai bar ulaT kar dekha
wo nahin aaya magar us ko bulane ke liye
bujh ke aankhon ne to nindon ne uchaT kar dekha
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 105)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.