dhaDak raha hai KHayalat ke samundar mein
dhaḌak rahā hai ḳhayālāt ke samundar meñ
vo bah rahā hai mirī zaat ke samundar meñ
badan ko chhoḌ diyā chāñd par baserā hai
kabhī to aa.egā vo raat ke samundar meñ
nahīñ javāb koī sirf shor phailā hai
vo aa chukā hai savālāt ke samundar meñ
vo merī aañkh ke nazzāre meñ samāyā hai
maiñ chhup ga.ī huuñ karāmāt ke samundar meñ
falak ke paas mujhe ik safar pe jaanā hai
zamīñ ke saare tilismāt ke samundar meñ
pighal rahā hai koī fāsloñ kī hiddat se
charāġh jal rahā hai zaat ke samundar meñ
ye kaun hai jo mirī aañkh ke nazāre ko
dikhā.ī de rahā hai raat ke samundar meñ
vo joḌtā hai zamāne ke tāne-bāne ko
bikhar rahā hai rivāyāt ke samundar meñ
vo ek lamha jo hotā hai yā nahīñ hotā
laraz rahā hai vo ḳhadshāt ke samundar meñ
falak meñ tairtī sadiyoñ kā fāsla 'nīlam'
sameT letī hai lamhāt ke samundar meñ
dhaDak raha hai KHayalat ke samundar mein
wo bah raha hai meri zat ke samundar mein
badan ko chhoD diya chand par basera hai
kabhi to aaega wo raat ke samundar mein
nahin jawab koi sirf shor phaila hai
wo aa chuka hai sawalat ke samundar mein
wo meri aankh ke nazzare mein samaya hai
main chhup gai hun karamat ke samundar mein
falak ke pas mujhe ek safar pe jaana hai
zamin ke sare tilismat ke samundar mein
pighal raha hai koi faslon ki hiddat se
charagh jal raha hai zat ke samundar mein
ye kaun hai jo meri aankh ke nazare ko
dikhai de raha hai raat ke samundar mein
wo joDta hai zamane ke tane-bane ko
bikhar raha hai riwayat ke samundar mein
wo ek lamha jo hota hai ya nahin hota
laraz raha hai wo KHadshat ke samundar mein
falak mein tairti sadiyon ka fasla 'nilam'
sameT leti hai lamhat ke samundar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.