Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhaDakti rahti hai dil mein talab koi na koi

Ahmad Mushtaq

dhaDakti rahti hai dil mein talab koi na koi

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    dhaḌaktī rahtī hai dil meñ talab koī na koī

    pukārtā hai mujhe roz-o-shab koī na koī

    shab-e-alam tire saada diloñ pe kyā guzrī

    sahar huī to sunā.egā sab koī na koī

    zabān band hai āñkhoñ ke band rahne tak

    khulegī aañkh to kholegā lab koī na koī

    havā-e-sāz-e-alam laakh ehtiyāt kare

    laraz uThtā hai tār-e-tarab koī na koī

    ghane banoñ meñ bhī rasta nikal aatā hai

    banā detī hai qudrat sabab koī na koī

    dhaDakti rahti hai dil mein talab koi na koi

    pukarta hai mujhe roz-o-shab koi na koi

    shab-e-alam tere sada dilon pe kya guzri

    sahar hui to sunaega sab koi na koi

    zaban band hai aankhon ke band rahne tak

    khulegi aankh to kholega lab koi na koi

    hawa-e-saz-e-alam lakh ehtiyat kare

    laraz hi uThta hai tar-e-tarab koi na koi

    ghane banon mein bhi rasta nikal hi aata hai

    bana hi deti hai qudrat sabab koi na koi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now