dhaDkan ki sans sans se is tarh jang hai
dhaḌkan kī saañs saañs se is tarh jang hai
shah-rag fishār-e-ḳhūn se gardan pe tang hai
āñkheñ bujhā ke dekh to tiira haiñ kis qadar
jin manzaroñ pe terī nigāhoñ kā rang hai
terī razā se qaid hai zindān-e-'umr meñ
vo jis pe lā-makān kā āñgan bhī tang hai
tahzīb-o-nasl-o-maz.hab-o-rang-o-vatan ko dekh
ḳhalq-e-ḳhudā kī kitne ḳhudāoñ se jang hai
dhaDkan ki sans sans se is tarh jang hai
shah-rag fishaar-e-KHun se gardan pe tang hai
aankhen bujha ke dekh to tera hain kis qadar
jin manzaron pe teri nigahon ka rang hai
teri raza se qaid hai zindan-e-'umr mein
wo jis pe la-makan ka aangan bhi tang hai
tahzib-o-nasl-o-mazhab-o-rang-o-watan ko dekh
KHalq-e-KHuda ki kitne KHudaon se jang hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.