Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhuan dhuan hai gham-e-gardish-e-safar se charagh

Ayaz Azmi

dhuan dhuan hai gham-e-gardish-e-safar se charagh

Ayaz Azmi

MORE BYAyaz Azmi

    dhuāñ dhuāñ hai ġham-e-gardish-e-safar se charāġh

    ajiib sahme hue haiñ havā ke Dar se charāġh

    ajab tilism-kada hai ye jabr fitrat

    ki raushnī meñ rahe raushnī ko tarse charāġh

    ye ḳhāmushī bayābāñ ye shab koh-e-sukūt

    ye ḳhvāb ḳhvāb manzar ye be-ḳhabar hai charāġh

    ye vaqt aisā samundar ki jis ke dāman meñ

    sadaf sadaf haiñ rāteñ guhar guhar se charāġh

    mirī ragoñ meñ lahū shuā ho ki na ho

    hazār-hā haiñ farozāñ mire hunar se charāġh

    maiñ kyā dikhā.ūñ urūs-e-ġhazal rang-e-jamāl

    abhī 'ayāz' bahut duur hai nazar se charāġh

    dhuan dhuan hai gham-e-gardish-e-safar se charagh

    ajib sahme hue hain hawa ke Dar se charagh

    ajab tilism-kada hai ye jabr fitrat ka

    ki raushni mein rahe raushni ko tarse charagh

    ye KHamushi ka bayaban ye shab ka koh-e-sukut

    ye KHwab KHwab sa manzar ye be-KHabar hai charagh

    ye waqt aisa samundar ki jis ke daman mein

    sadaf sadaf si hain raaten guhar guhar se charagh

    meri ragon mein lahu ki shua ho ki na ho

    hazar-ha hain farozan mere hunar se charagh

    main kya dikhaun urus-e-ghazal ka rang-e-jamal

    abhi 'ayaz' bahut dur hai nazar se charagh

    Source:

    Mehrabe Jan (Pg. 96)

    • Author: Ayaz Azmi
      • Publisher: Mohammad Habibullah Nayyar Aazmi
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now