Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhuan sa ek samt uTh raha hai sharare uD uD ke aa rahe hain

Asrarul Haq Majaz

dhuan sa ek samt uTh raha hai sharare uD uD ke aa rahe hain

Asrarul Haq Majaz

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    dhuāñ ik samt uTh rahā hai sharāre uḌ uḌ ke aa rahe haiñ

    ye kis aa.heñ ye kis ke naale tamām aalam pe chhā rahe haiñ

    naqāb ruḳh se uThā chuke haiñ khaḌe hue muskurā rahe haiñ

    maiñ hairatī-e-azal huuñ ab bhī vo ḳhaak hairāñ banā rahe haiñ

    havā.eñ be-ḳhud fazā.eñ be-ḳhud ye ambar-afshāñ ghaTā.eñ be-ḳhud

    mizha ne chheḌā hai saaz dil vo zer-e-lab gungunā rahe haiñ

    ye shauq vārdāt-e-paiham ye vāda-e-iltifāt-e-paiham

    kahāñ kahāñ aazmā chuke haiñ kahāñ kahāñ aazmā rahe haiñ

    surāhiyāñ nau-ba-nau haiñ ab bhī jamāhiyāñ nau-ba-nau haiñ ab bhī

    magar vo pahlū-tahī saugand ab bhī nazdīk aa rahe haiñ

    vo ishq vahshatoñ zad meñ vo taaj rif.atoñ ke aage

    magar abhī aazmā rahe haiñ magar abhī aazmā rahe haiñ

    atā kiyā hai 'majāz' fitrat ne vo mazāq-e-latīf ham ko

    ki ālam-e-āb-o-gil se haT kar ik aur aalam banā rahe haiñ

    dhuan sa ek samt uTh raha hai sharare uD uD ke aa rahe hain

    ye kis ki aahen ye kis ke nale tamam aalam pe chha rahe hain

    naqab ruKH se uTha chuke hain khaDe hue muskura rahe hain

    main hairati-e-azal hun ab bhi wo KHak hairan bana rahe hain

    hawaen be-KHud fazaen be-KHud ye ambar-afshan ghaTaen be-KHud

    mizha ne chheDa hai saz dil ka wo zer-e-lab gunguna rahe hain

    ye shauq ki wardat-e-paiham ye wada-e-iltifat-e-paiham

    kahan kahan aazma chuke hain kahan kahan aazma rahe hain

    surahiyan nau-ba-nau hain ab bhi jamahiyan nau-ba-nau hain ab bhi

    magar wo pahlu-tahi ki saugand ab bhi nazdik aa rahe hain

    wo ishq ki wahshaton ki zad mein wo taj ki rifaton ke aage

    magar abhi aazma rahe hain magar abhi aazma rahe hain

    ata kiya hai 'majaz' fitrat ne wo mazaq-e-latif hum ko

    ki aalam-e-ab-o-gil se haT kar ek aur aalam bana rahe hain

    Source:

    Aahang (Pg. 226)

    • Author: Asrar-ul-Haq Majaz
      • Edition: 2011
      • Publisher: National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now