Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhund chhaTne lagi rasta ho gaya

Khushtar Rahmani

dhund chhaTne lagi rasta ho gaya

Khushtar Rahmani

MORE BYKhushtar Rahmani

    dhund chhaTne lagī rāsta ho gayā

    'ishq jab husn rahnumā ho gayā

    tum sulagte rahe ham bhī jalte rahe

    qarz donoñ āḳhir adā ho gayā

    dil meñ rahiye sadā apne ghar tarah

    aaj se dil mirā aap ho gayā

    raah chalte hue dekh 'uryāñ badan

    aadmī aaj haivān ho gayā

    ab to insāniyat sū-e-sahrā chalī

    bhiiḌ meñ aadmī bheḌiyā ho gayā

    yak-ba-yak jo paḌī un nazr-e-karam

    ek patthar-sifat aa.ina ho gayā

    sar salāmat hai 'ḳhushtar' na ab aabrū

    is zamāne ko āḳhir ye kyā ho gayā

    dhund chhaTne lagi rasta ho gaya

    'ishq jab husn ka rahnuma ho gaya

    tum sulagte rahe hum bhi jalte rahe

    qarz donon ka aaKHir ada ho gaya

    dil mein rahiye sada apne ghar ki tarah

    aaj se dil mera aap ka ho gaya

    rah chalte hue dekh 'uryan badan

    aadmi aaj haiwan sa ho gaya

    ab to insaniyat su-e-sahra chali

    bhiD mein aadmi bheDiya ho gaya

    yak-ba-yak jo paDi un ki nazr-e-karam

    ek patthar-sifat aaina ho gaya

    sar salamat hai 'KHushtar' na ab aabru

    is zamane ko aaKHir ye kya ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now