Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunD kar pyar ke guhar lana

Raj Kheti

DhunD kar pyar ke guhar lana

Raj Kheti

MORE BYRaj Kheti

    DhūñD kar pyaar ke guhar laanā

    dil gahrā.ī se na Dar jaanā

    phuul ban kar na itnā itrānā

    jaane kis din paḌe bikhar jaanā

    dekh kar vo ḳhud apnā ā.īna

    apnī sūrat na aap pahchānā

    dil dhartī ke ḳhushk hoñToñ par

    pyaar ek buuñd barsānā

    dekhiye mere dil ke sāġhar meñ

    ġharq hai zindagī mai-ḳhāna

    raqam ḳhuun se ġhazal tum ne

    'raaj laa.e ho ḳhuub nazrāna

    DhunD kar pyar ke guhar lana

    dil ki gahrai se na Dar jaana

    phul ban kar na itna itrana

    jaane kis din paDe bikhar jaana

    dekh kar wo KHud apna aaina

    apni surat na aap pahchana

    dil ki dharti ke KHushk honTon par

    pyar ki ek bund barsana

    dekhiye mere dil ke saghar mein

    gharq hai zindagi ka mai-KHana

    ki raqam KHun se ghazal tum ne

    'raj lae ho KHub nazrana

    Source:

    Pichhle Paher Ka Khwab (Pg. 94)

    • Author: Raj Kheti
      • Publisher: Nomani Press, Delhi
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now