Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDa hai har jagah pa kahin par nahin mila

Hastimal Hasti

DhunDa hai har jagah pa kahin par nahin mila

Hastimal Hasti

MORE BYHastimal Hasti

    DhūñDā hai har jagah pa kahīñ par nahīñ milā

    ġham se to gahrā koī samundar nahīñ milā

    ye tajraba huā hai mohabbat raah meñ

    kho kar milā jo ham ko vo kar nahīñ milā

    dahlīz apnī chhoḌ jis ne bhī ek baar

    dīvār-o-dar us ko mile ghar nahīñ milā

    saarī chamak hamāre pasīne hai janāb

    virse meñ ham ko koī bhī zevar nahīñ milā

    ghar se hamārī āñkh-mīcholī rahī sadā

    āñgan nahīñ milā to kabhī dar nahīñ milā

    DhunDa hai har jagah pa kahin par nahin mila

    gham se to gahra koi samundar nahin mila

    ye tajraba hua hai mohabbat ki rah mein

    kho kar mila jo hum ko wo pa kar nahin mila

    dahliz apni chhoD di jis ne bhi ek bar

    diwar-o-dar hi us ko mile ghar nahin mila

    sari chamak hamare pasine ki hai janab

    wirse mein hum ko koi bhi zewar nahin mila

    ghar se hamari aankh-micholi rahi sada

    aangan nahin mila to kabhi dar nahin mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now