Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDa teri zulf ka saya bhul hui sharminda hun

Inam Durrani

DhunDa teri zulf ka saya bhul hui sharminda hun

Inam Durrani

MORE BYInam Durrani

    DhūñDā terī zulf saayā bhuul huī sharminda huuñ

    pyāsā man thā dhokā khāyā bhuul huī sharminda huuñ

    shahr raushan rāhoñ meñ bhī terī bāñheñ yaad aa.iiñ

    ḳhud ko tanhā tanhā paayā bhuul huī sharminda huuñ

    shahr-e-vafā ke saare raste terī jānib nikle

    phir maiñ ne hosh gañvāyā bhuul huī sharminda huuñ

    kaise kaise maqnātīsī ruup saje the raste meñ

    lauT ke tere paas aayā bhuul huī sharminda huuñ

    jaise koī ziddī bachcha rokā jaa.e magar na aa.e

    tere dar ko des banāyā bhuul huī sharminda huuñ

    is duniyā meñ aur bhī ġham the mīThe mīThe dard bhare

    ġham terā chāhā paayā bhuul huī sharminda huuñ

    begānoñ ne pyaar diyā to ham ne dāman khīñch liyā

    apnoñ se rabt baḌhāyā bhuul huī sharminda huuñ

    jis māhaul ke tapte mausam dukh dete the 'in.ām'

    us par bhī sāvan barsāyā bhuul huī sharminda huuñ

    DhunDa teri zulf ka saya bhul hui sharminda hun

    pyasa man tha dhoka khaya bhul hui sharminda hun

    shahr ki raushan rahon mein bhi teri banhen yaad aain

    KHud ko tanha tanha paya bhul hui sharminda hun

    shahr-e-wafa ke sare raste teri jaanib hi nikle

    ya phir main ne hosh ganwaya bhul hui sharminda hun

    kaise kaise maqnatisi rup saje the raste mein

    lauT ke tere pas hi aaya bhul hui sharminda hun

    jaise koi ziddi bachcha roka jae magar na aae

    tere dar ko des banaya bhul hui sharminda hun

    is duniya mein aur bhi gham the miThe miThe dard bhare

    gham tera hi chaha paya bhul hui sharminda hun

    beganon ne pyar diya to hum ne daman khinch liya

    apnon se hi rabt baDhaya bhul hui sharminda hun

    jis mahaul ke tapte mausam dukh hi dete the 'inam'

    us par bhi sawan barsaya bhul hui sharminda hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now