Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe

Natiq Gulavthi

DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe

Natiq Gulavthi

MORE BYNatiq Gulavthi

    DhūñDhtī hai iztirāb-e-shauq duniyā mujhe

    aap ne mahfil se uThvā kar kahāñ rakkhā mujhe

    ai nigāh-e-mast is naam hai kaif-e-surūr

    aaj ne dekh kar merī taraf dekhā mujhe

    yaar se ho kar judā jaur-e-falak ġham nahīñ

    ho chukī vo baat thī jis baat parvā mujhe

    saath bhī chhoḌā to kab jab sab bure din kaT ga.e

    zindagī ne kahāñ aa kar diyā dhokā mujhe

    DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe

    aap ne mahfil se uThwa kar kahan rakkha mujhe

    ai nigah-e-mast is ka nam hai kaif-e-surur

    aaj tu ne dekh kar meri taraf dekha mujhe

    yar se ho kar juda jaur-e-falak ka gham nahin

    ho chuki wo baat thi jis baat ki parwa mujhe

    sath bhi chhoDa to kab jab sab bure din kaT gae

    zindagi tu ne kahan aa kar diya dhoka mujhe

    Source:

    Noquush (Pg. B-316 E-332)

      • Edition: May June 1954
      • Publisher: Nuqoosh Press Lahore
      • Year of Publication: May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now