aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut

Niyaz Haidar

dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut

Niyaz Haidar

MORE BYNiyaz Haidar

    dhuup aisī tez dhuup garm hai fazā bahut

    mileñge chhāñv DhūñDte barhana-pā ḳhudā bahut

    ye raah be-kanār be-panāh ḳhizr fuġhāñ

    bahut milī thī zindagī magar milī zarā bahut

    ḳhizāñ nasīb daur meñ bahār tasalliyāñ

    magar vo dil jise hai ḳhār-o-ḳhas aasrā bahut

    unheñ ḳhabar karo ki shām-e-hijr aa rahī hai phir

    jinheñ vafā-e-ahd par ġhurūr o naaz thā bahut

    fareb-e-ārzū pe aur e'tibār ke liye

    uThāo jaam vaqt kam hai vaqt ho chukā bahut

    dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut

    milenge chhanw DhunDte barhana-pa KHuda bahut

    ye rah be-kanar be-panah KHizr ki fughan

    bahut mili thi zindagi magar mili zara bahut

    KHizan nasib daur mein bahaar ki tasalliyan

    magar wo dil jise hai KHar-o-KHas ka aasra bahut

    unhen KHabar karo ki sham-e-hijr aa rahi hai phir

    jinhen wafa-e-ahd par ghurur o naz tha bahut

    fareb-e-arzu pe aur e'tibar ke liye

    uThao jam waqt kam hai waqt ho chuka bahut

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now