dhup diwaron se jab baaten kare
dhuup dīvāroñ se jab bāteñ kare
ghar kī vīrānī 'ajab bāteñ kare
din to apnā ik khilañDrā dost hai
shab vo ham-jolī jo sab bāteñ kare
mujh meñ ik mā'sūm sī bachchī jo hai
mujh se pahroñ be-sabab bāteñ kare
ek saaya aa lage dīvār se
aur divāna roz-o-shab bāteñ kare
kaun samjhe chashm-o-abrū kī zabāñ
koī kis se zer-e-lab bāteñ kare
sub.h 'ujlat shaam yak-gūna thakan
phir batāo koī kab bāteñ kare
dhup diwaron se jab baaten kare
ghar ki virani 'ajab baaten kare
din to apna ek khilanDra dost hai
shab wo ham-joli jo sab baaten kare
mujh mein ek ma'sum si bachchi jo hai
mujh se pahron be-sabab baaten kare
ek saya aa lage diwar se
aur diwana roz-o-shab baaten kare
kaun samjhe chashm-o-abru ki zaban
koi kis se zer-e-lab baaten kare
subh 'ujlat sham yak-guna thakan
phir batao koi kab baaten kare
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 68)
- Author :Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.