Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup ho tez to diwar ka saya hai bahut

Jaleel Allahabadi

dhup ho tez to diwar ka saya hai bahut

Jaleel Allahabadi

MORE BYJaleel Allahabadi

    dhuup ho tez to dīvār saaya hai bahut

    chand yādoñ asāsa bhī asāsa hai bahut

    bebasī halqa-e-zanjīr banī hai yaaro

    zindagī ham ne tujhe TuuT ke chāhā hai bahut

    jiite kitne savāloñ se chhuḌā.e dāman

    aadmī apne garebān se uljhā hai bahut

    TuuT jā.egā kisī din bhī añdheroñ tilism

    sochne vāloñ ke zehnoñ meñ ujālā hai bahut

    log phir log haiñ raa.ī banāte haiñ pahāḌ

    uḌne vāloñ hunar ham ne bhī dekhā hai bahut

    ek ek lamha bhī barsoñ ke barābar hai 'jalīl'

    qaid-e-tanhā.ī hai dil apnā akelā hai bahut

    dhup ho tez to diwar ka saya hai bahut

    chand yaadon ka asasa bhi asasa hai bahut

    bebasi halqa-e-zanjir bani hai yaro

    zindagi hum ne tujhe TuT ke chaha hai bahut

    jite ji kitne sawalon se chhuDae daman

    aadmi apne gareban se uljha hai bahut

    TuT jaega kisi din bhi andheron ka tilism

    sochne walon ke zehnon mein ujala hai bahut

    log phir log hain rai ka banate hain pahaD

    uDne walon ka hunar hum ne bhi dekha hai bahut

    ek ek lamha bhi barson ke barabar hai 'jalil'

    qaid-e-tanhai hai dil apna akela hai bahut

    Source:

    (Pg. 51)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now