Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup ka aks kaDi dhup se baDh kar nikla

Mohammad Ahmad Saqi

dhup ka aks kaDi dhup se baDh kar nikla

Mohammad Ahmad Saqi

MORE BYMohammad Ahmad Saqi

    dhuup aks kaḌī dhuup se baḌh kar niklā

    maiñ jise aa.ina samjhā thā vo patthar niklā

    log dukh dard bhī tanhā nahīñ sahne dete

    mere ghar meñ jo tamāshā thā vo ghar ghar niklā

    dekh kar chāñd talātum hai bapā siine meñ

    maiñ samajhtā thā jise dil vo samundar niklā

    us yādoñ se baḌī ma.arka-ārā.ī huī

    phir kahīñ ke mire dil se vo paikar niklā

    us ne dastār ko bhī kaasa banā rakkhā hai

    maiñ jise shaah samajhtā thā gadāgar niklā

    munkashif hone lagā sirr-e-nihāñ bhī mujh par

    jūñhī siine se mire vahm ḳhanjar niklā

    ek din ḳhud se taqābul kiyā maiñ ne apnā

    mere andar jo insān thā behtar niklā

    ḳhud-pasandī nasha aisā nasha hai 'ahmad'

    maiñ ne jis jis ko bhī dekhā vahī ḳhūgar niklā

    dhup ka aks kaDi dhup se baDh kar nikla

    main jise aaina samjha tha wo patthar nikla

    log dukh dard bhi tanha nahin sahne dete

    mere ghar mein jo tamasha tha wo ghar ghar nikla

    dekh kar chand talatum hai bapa sine mein

    main samajhta tha jise dil wo samundar nikla

    us ki yaadon se baDi marka-arai hui

    phir kahin ja ke mere dil se wo paikar nikla

    us ne dastar ko bhi kasa bana rakkha hai

    main jise shah samajhta tha gadagar nikla

    munkashif hone laga sirr-e-nihan bhi mujh par

    junhi sine se mere wahm ka KHanjar nikla

    ek din KHud se taqabul kiya main ne apna

    mere andar ka jo insan tha behtar nikla

    KHud-pasandi ka nasha aisa nasha hai 'ahmad'

    main ne jis jis ko bhi dekha wahi KHugar nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now