Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup pichha nahin chhoDegi ye socha bhi nahin

Salma shaheen

dhup pichha nahin chhoDegi ye socha bhi nahin

Salma shaheen

MORE BYSalma shaheen

    dhuup pīchhā nahīñ chhoḌegī ye sochā bhī nahīñ

    ham vahāñ haiñ jahāñ dīvār saaya bhī nahīñ

    jaane kyuuñ dil mirā bechain rahā kartā hai

    milnā to duur rahā us ko to dekhā bhī nahīñ

    aap ne jab se badal Daalā hai jiine chalan

    ab mujhe talḳhī-e-ahbāb shikva bhī nahīñ

    mai-kada chhoḌe hue mujh ko zamāna guzrā

    aur saaqī se mujhe duur rishta bhī nahīñ

    daam meñ rakhtā parindoñ uḌāneñ lekin

    par katarne magar us ko salīqa bhī nahīñ

    muskurāhaT meñ koī tanz bhī ho saktā hai

    ye masarrat alam-dār ho aisā bhī nahīñ

    laakh yādoñ taraf lauT ke jā.ūñ 'shāhīn'

    parda-e-dil par ab us shaḳhs chehra bhī nahīñ

    dhup pichha nahin chhoDegi ye socha bhi nahin

    hum wahan hain jahan diwar ka saya bhi nahin

    jaane kyun dil mera bechain raha karta hai

    milna to dur raha us ko to dekha bhi nahin

    aap ne jab se badal Dala hai jine ka chalan

    ab mujhe talKHi-e-ahbab ka shikwa bhi nahin

    mai-kada chhoDe hue mujh ko zamana guzra

    aur saqi se mujhe dur ka rishta bhi nahin

    dam mein rakhta parindon ki uDanen lekin

    par katarne ka magar us ko saliqa bhi nahin

    muskurahaT mein koi tanz bhi ho sakta hai

    ye masarrat ki alam-dar ho aisa bhi nahin

    lakh yaadon ki taraf lauT ke jaun 'shahin'

    parda-e-dil par ab us shaKHs ka chehra bhi nahin

    Source:

    Gaye Ruton Ke Zakhm (Pg. 64)

    • Author: Salma Shaheen
      • Edition: 2015
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now