aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup thi saeban tha hi nahin

Aaquib Shaad

dhup thi saeban tha hi nahin

Aaquib Shaad

MORE BYAaquib Shaad

  dhuup thī sā.ebān thā nahīñ

  merā koī makān thā nahīñ

  maiñ jahāñ ke lauT aayā huuñ

  us ke aage jahān thā nahīñ

  tum mujhe chhoḌ bhī to sakte ho

  ye to mujh ko gumān thā nahīñ

  aap ro.e the kyoñ bichhaḌte hue

  kuchh agar darmiyān thā nahīñ

  kaise mushkil sāmnā karte

  hausla jab chaTān thā nahīñ

  vaqt itnā burā bhī aa.egā

  ye kisī ko gumān thā nahīñ

  hāl-e-dil kis ke sāmne rakhte

  jab koī mehrbān thā nahīñ

  is zamāne ne kar diyā patthar

  varna maiñ saḳht-jān thā nahīñ

  us pe sab kuchh luTā diyā 'āqib'

  jo mirā qadr-dān thā nahīñ

  dhup thi saeban tha hi nahin

  mera koi makan tha hi nahin

  main jahan ja ke lauT aaya hun

  us ke aage jahan tha hi nahin

  tum mujhe chhoD bhi to sakte ho

  ye to mujh ko guman tha hi nahin

  aap roe the kyon bichhaDte hue

  kuchh agar darmiyan tha hi nahin

  kaise mushkil ka samna karte

  hausla jab chaTan tha hi nahin

  waqt itna bura bhi aaega

  ye kisi ko guman tha hi nahin

  haal-e-dil kis ke samne rakhte

  jab koi mehrban tha hi nahin

  is zamane ne kar diya patthar

  warna main saKHt-jaan tha hi nahin

  us pe sab kuchh luTa diya 'aqib'

  jo mera qadr-dan tha hi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now