Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

did ke badle sada dida-e-tar rakkha hai

Saleem Figar

did ke badle sada dida-e-tar rakkha hai

Saleem Figar

MORE BYSaleem Figar

    diid ke badle sadā dīda-e-tar rakkhā hai

    ham ko kyuuñ rāñda-e-dargāh-e-nazar rakkhā hai

    shab dahlīz se us samt haiñ rāheñ kaisī

    parda-e-ḳhvāb meñ ye kaisā safar rakkhā hai

    sāya-e-vasl-e-mohabbat vo ḳhalvat na sahī

    ye bhī kaafī hai ḳhayāloñ meñ guzar rakkhā hai

    kitne ausāf mujhe apne atā us ne kiye

    zauq-e-taḳhlīq diyā mujh meñ hunar rakkhā hai

    shāḳh-dar-shāḳh tirī yaad hariyālī hai

    ham ne shādāb bahut dil shajar rakkhā hai

    har ghaḌī mujh pe na.e aur jahāñ khulte haiñ

    so bhī jā.ūñ to khulā zehn dar rakkhā hai

    us ko qudrat hai jise jaisā bhī taḳhlīq kare

    shukr hai us mujhe us ne bashar rakkhā hai

    did ke badle sada dida-e-tar rakkha hai

    hum ko kyun randa-e-dargah-e-nazar rakkha hai

    shab ki dahliz se us samt hain rahen kaisi

    parda-e-KHwab mein ye kaisa safar rakkha hai

    saya-e-wasl-e-mohabbat ki wo KHalwat na sahi

    ye bhi kafi hai KHayalon mein guzar rakkha hai

    kitne ausaf mujhe apne ata us ne kiye

    zauq-e-taKHliq diya mujh mein hunar rakkha hai

    shaKH-dar-shaKH teri yaad ki hariyali hai

    hum ne shadab bahut dil ka shajar rakkha hai

    har ghaDi mujh pe nae aur jahan khulte hain

    so bhi jaun to khula zehn ka dar rakkha hai

    us ko qudrat hai jise jaisa bhi taKHliq kare

    shukr hai us ka mujhe us ne bashar rakkha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now