Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

didar tere husn ka bas aankh bhar karun

Jagjit Kafir

didar tere husn ka bas aankh bhar karun

Jagjit Kafir

MORE BYJagjit Kafir

    dīdār tere husn bas aañkh bhar karūñ

    aur phir isī surūr meñ pahroñ basar karūñ

    misroñ meñ Dhal ke aap ke dil meñ utar sakeñ

    itnā maiñ har ḳhayāl ko bārīk-tar karūñ

    ai zindagī batā mujhe ne diyā hai kyā

    terā yaqīñ karūñ bhī to kis baat par karūñ

    ye bhī to ik tarah se mohabbat haar hai

    ḳhud ko tumhāre hijr meñ barbād gar karūñ

    merī masāfatoñ koī intihā to ho

    in ābloñ ke saath maiñ kab tak safar karūñ

    har shaḳhs zabān pe 'kāfir' naam ho

    itnā maiñ apne aap ko ab nāmvar karūñ

    didar tere husn ka bas aankh bhar karun

    aur phir isi surur mein pahron basar karun

    misron mein Dhal ke aap ke dil mein utar saken

    itna main har KHayal ko barik-tar karun

    ai zindagi bata mujhe tu ne diya hai kya

    tera yaqin karun bhi to kis baat par karun

    ye bhi to ek tarah se mohabbat ki haar hai

    KHud ko tumhaare hijr mein barbaad gar karun

    meri masafaton ki koi intiha to ho

    in aablon ke sath main kab tak safar karun

    har shaKHs ki zaban pe 'kafir' ka nam ho

    itna main apne aap ko ab namwar karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now